aasman ke chehre par be-shumar aankhen hain be-shumar aankhon mein be-hisab manzar hain manzaron ke aaine apne apne chehron ko khud hi dekh sakte hain khud hi jaan sakte hain apni be-nawai ko wusaton ki chadar par silwaten bahut si hain is khamosh duniya mein aahaten bahut si hain aati jati lahron ka azhdaham rahta hai waqt ek khanjar hai be-niyam rahta hai ye ajib duniya hai jis mein kuchh nahin milta phir bhi ek lamhe mein be-shumar tarikhen yun badalti rahti hain jaise khushk patton ka dher udta phirta hai be-kanar samton mein be-shumar samton mein be-shumar aankhen hain kuchh nahin hai takne ko aur hazar aankhen hain raston ke dhage se har taraf latakte hain khak ke jazire se har taraf bhatakte hain phir bhi aasmanon par raat ke andhere mein subh ke sawere hain ye ajab muamma hai jis taraf bhi hum dekhen tutte hue lamhe bhagte hue raste jagte hue manzar aainon ke andar bhi aainon ke bahar bhi ek shor barpa hai jis ko hum nahin sunte aur wo hum se kahta hai tum bhi mere jaise ho main bhi mitne wala hun tum bhi mitne wale ho aasman ke chehre par be-shumar aankhen hain be-shumar aankhon mein be-hisab manzar hain manzaron ke aaine rang rang aaine ke jawab manzar hain manzaron ke andar bhi sad hazar manzar hain wo bhi mitne wale hain hum bhi mitne wale hain