ek bosida haweli yani farsuda samaj le rahi hai naza ke aalam mein murdon se khiraj ek musalsal gard mein dube hue sab baam-o-dar jis taraf dekho andhera jis taraf dekho khandar mar o kajdum ke thikane jis ki diwaron ke chaak uf ye rakhne kis qadar tarik kitne haul-nak jin mein rahte hain mahajan jin mein baste hain amir jin mein kashi ke barhaman jin mein kabe ke faqir rahzanon ka qasr-e-shura qatilon ki khwab-gah khilkhilate hain jaraem jagmagate hain gunah jis jagah katta hai sar insaf ka iman ka roz o shab nilam hota hai jahan insan ka zist ko dars-e-ajal deti hai jis ki bargah qahqaha ban kar nikalti hai jahan har ek aah sim-o-zar ka dewta jis ja kabhi sota nahin zindagi ka bhul kar jis ja guzar hota nahin hans raha hai zindagi par is tarah mazi ka haal khanda-zan ho jis tarah ismat pe qahba ka jamal ek jaanib hain wahin in be-nawaon ke giroh han inhin be-nan o be-poshish gadaon ke giroh jin ke dil kuchle hue jin ki tamanna paemal jhankta hai jin ki aankhon se jahannam ka jalal ai khuda-e-do-jahan ai wo jo har ek dil mein hai dekh tere hath ka shahkar kis manzil mein hai jaanta hun maut ka ham-saz o hamdam kaun hai kaun hai parwardigar-e-bazm-e-matam kaun hai kodh ke dhabbe chhupa sakta nahin malbus-e-din bhuk ke shole bujh sakta nahin ruh-ul-amin ai jawan-sal-e-jahan jaan-e-jahan-e-zindagi sarban-e-zindagi ruh-e-rawan-e-zindagi! jis ke khun-e-garam se bazm-e-charaghan zindagi jis ke firdausi tanaffus se gulistan zindagi bijliyan jis ki kanizen zalzale jis ke safir jis ka dil khaibar-shikan jis ki nazar arjun ka tir han wo naghma chhed jis se muskurae zindagi to baja-e-saz-e-ulfat aur gae zindagi aa inhin khandaron pe aazadi ka parcham khol den aa inhin khandaron pe aazadi ka parcham khol den