main khwahishon se apna hath nahin khinch sakti jab tak khwahishen mujh se na khinch jaen ye kafi hai aur mere liye sab meri gardan par mere mahbub ka chehra saja do ya meri ruh ko aazad ho jaane do ye bhi kafi hai aur mere liye bahut hai main us ki khwahish se kuchh kam hun ya zara ziyaada zahir hai gard mujhe chhupa leti hai meri ruh mere honton par hai udne ke liye be-tab kya us ke hont mujhe amn ka sabaq denge? aur ye bhi mere liye bahut hai