dilli se wapsi rukhsat ai dilli teri mahfil se ab jata hun main nauhagar jata hun main nala-ba-lab jata hun main yaad aaenge mujhe tere zamin-o-asman rah chuke hain meri jaulan-gah tere bostan tera dil dhadka chuke hain mere ehsasat bhi tere aiwanon mein gunje hain mere naghmat bhi rashk-e-shiraaz-kuhan hindostan ki aabru sar-zamin-e-husn-o-mausiqi bahisht-e-rang-o-bu mabad-e-husn-o-mohabbat bargah-e-soz-o-saz tere but-khane hasin tere kalisa dil-nawaz zikr yusuf ka to kya kije teri sarkar mein khud zulekha aa ke bikti hai tere bazar mein jannaten aabaad hain tere dar-o-diwar mein aur tu aabaad khud shair ke qalb-e-ar mein mahfil-e-saqi salamat bazm-e-anjum barqarar nazninan-e-haram par rahmat-e-parwardigar yaad aaegi mujhe be-tarah yaad aaegi tu ain waqt-e-mai-kashi aankhon mein phir jaegi tu kya kahun kis shauq se aaya tha teri bazm mein chhod kar khuld-e-ali-gadh ki hazaron mahfilen kitne rangin ahd-o-paiman tod kar aaya tha main dil nawazan-e-chaman ka chhod kar aaya tha main ek nasheman main ne chhoda ek nasheman chhut gaya saz bas chheda hi tha main ne ki gulshan chhut gaya dil mein soz-e-gham ki ek duniya liye jata hun main aah tere mai-kade se be-piye jata hun main jate jate lekin ek paiman kiye jata hun main apne azm-e-sarfaroshi ki qasam khata hun main phir teri bazm-e-hasin mein laut kar aaunga main aaunga main aur ba-andaz-e-digar aaunga main aah wo chakkar diye hain gardish-e-ayyam ne khol kar rakh di hain aankhen talkhi-e-alam ne fitrat-e-dil dushman-e-naghma hui jati hai ab zindagi ek barq ek shoala hui jati hai ab sar se pa tak ek khunin rag ban kar aaunga lala-zar-e-rang-o-bu mein aag ban kar aaunga