wo ek musafir tha ja chuka hai bata gaya tha ki be-yaqinon ki bastiyon mein kabhi na rahna kabhi na rahna ki un pe itne azab utrenge jin ki ginti adad se bahar wo apne murde tumhaare kandhon pe rakh ke tum ko juda karenge tum un janazon ko qarya qarya liye phiroge falak bhi jin se na-ashna hai jinhen zaminen bhi rad karengi wo kah gaya tha hamesha zillat se dur rahna ki bad-nasibon ka rizq-e-awwal unhin zaminon se paida hota hai jin zaminon pe bhuri giddhon ki nochi haddi ke reze bikhrin tum apni rae ko istaqamat ki aab dena jise pahadon ki khushk sangin bulandiyon se khiraj bhejen ghulam zehnon pe aisi lanat ki rasm rakhna jo teri naslon phir un ki naslon phir un ki naslon talak bhi jae tumhein khabar ho sharif logon ki unchi gardan lachak se aise hi be-khabar hai sawad-e-ghurbat mein khema-gahon ki jaise gadi hon khushk choben kabhi na shane jhuka ke chalna ki past-qamat tumhaare qadmon se apne qadmon ko jod denge wahi nahusat tumhein kharabon ki pasbani ata karegi sarab-ankhon ke raston se tumhaare gurdon mein ret phenkenge aur sine ko kat denge wo kah gaya tha yahi wo illat ke mare wahshi hain jin ki apni zaban nahin hai ye jhag udate hain apne jabdon se lajlaje ka to gadgadahat ka shor uthta hai aur badbu bikherta hai yahi wo bad-bakht be-hunar aur be-yaqin hain ki jin ki diyat na khun-baha hai so in ki qurbat se dur rahna najat-e-dil ka sabab banega wo ek musafir tha kah gaya hai