musafiron se kaho aasman ko mat dekhen na koi abr ka tukda na koi tar-e-shafaq guzashta sham ka uttha hua wo gard-o-ghubar abhi talak hain fazaen usi se aaluda wo ek aag kabhi zad-e-rah thi apna jahan qayam kiya tha wahin pe chhod aae to ahl-e-qafila ab dastan-go se kaho koi riwayat-e-kuhna koi hikayat-e-nau jo khun ko sard kare aur soch bikhra de ki aaise waqt mein khamoshiyan to thik nahin