main ek tesha-ba-dast insan mujhe kharabon ki justuju hai mujhe pahadon ki aarzu hai main chahta hun ki is jahan ke tamam dukhde ukhad phenkun main chahta hun ki aane wale nae zamane ki sari rahen hari-bhari hon har ek shajar ek libas pahne nai waza ka har ek gul par shabab mahke nai tarah ka main chahta hun ki nasl-e-insan jo aa rahi hai qarar bante sukun boe to pyar kate magar mere ahd ke ye insan mere muqabil khade hue hain pahad ban kar main apna tesha chalaun kis par inhi mein koi hai mera bhai koi chacha hai main sochta hun utha ke teshe ko is zamin par lakir khinchun musalahat ki phir apne hisse ki sab zamin par chalaun tesha magar khayalon mein baat thahri meri zamin ke tamam hisse mere hi bachchon ne bech khae