main kis manzil pe aa pahuncha yahan to chandni odhe hue raston ka sannata bahut hi dur tak phaila hua hai magar main zat ke gahre qafas mein na jaane kab se qaidi hun khud apna mere hathon pe ye jo risman hai girah mein is ki aazadi ke panchhi phadphadate the magar wo bhi hue be-dam qafas ke dar pe be-masraf khirad ne kar liya qabza har ek diwar hadd-e-asman malum hoti hai bahut unchi fasil-e-zat hai aur shor-e-girya hai main is se bhag kar jaun kahan par yahan to chandni odhe hue raston ka sannata fasil-e-zat ko dhamka raha hai kahin rauzan na ho diwar-o-dar mein ye shor-o-ghul kahin bahar na jae