ye bhatakti hui ruhen ye nasheb aur faraaz teri mahfil mein farozan na hui shama-e-niyaz tujh ko taklif-e-samaat rahi meri aawaz aansuon se na hui sard teri aatish-e-naz mehr-o-ulfat ke tarane rahe khwabida-e-naz ishq bechaara samajhta hai jise subh-e-chaman paikar-e-subh mein ek raat hai virane ki gardish-e-rang se tazin-e-nazar kya hoti han meri rah teri rahguzar kya hoti tujh ko bimar-e-mohabbat ki khabar kya hoti hijr ki raat ham-aghosh-e-sahar kya hoti jis ko main soz-e-haqiqat ka nishan kahta tha muhr thi wo kisi tarik nihan-khane ki aaj tak mil na saki bar-e-tamanna se najat aaj tak tishna-e-tabir raha khwab-e-hayat kash hota na mere zauq-e-farawan mein sabaat ye masaib ka julus aur ye aafat ki raat ye aqidon ka talatum ye andhere ka kharosh main nahin lash hai goya kisi parwane ki ek ek jumbish-e-lab aah-o-fughan ka paigham ye sarabon ke pujari ye ghulamon ke ghulam majlis-e-jaur-o-jafa kargah-e-dana-o-dam hae ye teri khudai ka jahan-soz nizam hain yahan kitne ujalon pe dhundalkon ke ghilaf dahr hai ya koi taswir siyah-khane ki ab nahin bais-e-taskin teri aayat-e-jamil sal-ha-sal se insan ki fitrat hai alil timtimati hi rahegi mere dil ki qindil ye siyahi hai ki badhti hui zulmat ki dalil zulmat-e-yas hai tari na kar ab sai-e-fuzul mere aaina-e-kirdar ko chamkane ki