bedar hona chahiye

nau-jawano ab hamein bedar hona chahiye
desh-sewa ke liye tayyar hona chahiye

jo bahadur hain unhen chhatri ki hajat hi nahin
un ke sar pe saya-e-talwar hona chahiye

bistar-e-rahat se uth kar ab watan ke waste
har musibat se hamein do-chaar hona chahiye

dil mein soz-e-qaum ho sine mein dard-e-hurriyat
aankh ko bahr-e-watan khun-bar hona chahiye

aashna-e-dard ho pahlu kaleja dagh-dar
aur jigar ko tishna-e-azar hona chahiye

muddaton se hai gulistan-e-watan ujda hua
ye hamare khun se lala-zar hona chahiye

ghairat-e-qaumi se aa jae hamiyyat josh mein
har rag-e-khun ek mahshar-zar hona chahiye

desh-o-jati ka hamein gham-khwar hona chahiye
madar-e-bhaarat se hum ko pyar hona chahiye

mushtail ho jae jab sine mein aazadi ki aag
har-nafas ko aah-e-atish-bar hona chahiye

ya to aazadi se 'sabir' ho hamara sar buland
ya hamare sar ko zeb-e-dar hona chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close