jazba-e-isar

bala se hum ko latkae agar sarkar phansi se
latakte aae aksar paikar-e-isar phansi se

lab-e-dam bhi na kholi zalimon ne hathkadi meri
tamanna thi ki karta main lipat kar pyar phansi se

khuli hai mujh ko lene ke liye aaghosh-e-azadi
khusha ki ho gaya mahbub ka didar phansi se

kabhi o be-khabar tahrik-e-azadi bhi rukti hai
badha karti hai is ki tezi-e-raftar phansi se

yahan tak sarfaroshan-e-watan badh jaenge qatil
ki latkane padenge nit tujhe do-chaar phansi se

nazar aaenge har su sham-e-azadi ke parwane
hazaron murda dil ho jaenge bedar phansi se

farishte aasman se bahr-e-pa-bosi utarte hain
ki 'sabir' jhulte hain desh ke sardar phansi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close