nind kamre mein tahal rahi hai raat ki be-shumar aankhen mujh par gadin hain main be-sudh ek kone mein padi hun raat ki gahri siyahi mujh par musallat hone lagi hai meri adh-khuli khidki se aane wali nili chandni dil se diwanon ki tarah lipat rahi hai aise mein ek ghair mubham wahshat mujh par tari hoti hai tanhai chikh chikh kar mahaul ko mazid wahshat-zada bana rahi hai ird-gird ki har shai par kapkapahat tari hai yani dard jari hai ye tariki ruh ki bedari hai