meri Diary

dil ke jazbon se mulaqaten kiya karti hai
diary mujh se bahut baaten kiya karti hai

lams jazbaat ka ehsas ki tasiron ka
intizar us ko raha karta hai tahriron ka

un se main dil ki kahun baat kaha karte hain
kuchh likhun un pe ye safhat kaha karte hain

diary kahti hai kuchh kaam banane hain mere
tujh ko jazbaat se auraq sajaane hain mere

waqt is mod pe hum donon ko lata hai kabhi
bhul jata hai to ye waqt bhi aata hai kabhi

tu nahin hota to kya hota hai batlati hun
apni sochon se ulajhti hi chali jati hun

jab tu uthta hai kisi baat ko likhne ke liye
apni yaadon ko khayalat ko likhne ke liye

dil-nashin shauq ke paikar mein dhali jati hun
pur-sukun nind ki wadi mein chali jati hun

waqt kab thahra hai wo waqt bhi aa jaega
chhod ke mujh ko yahan tu bhi chala jaega

kal tere ba'd milegi koi izzat mujh ko
ye khayal aate hi deta hai aziyyat mujh ko

log rakkhenge aham kitna mujhe tere ba'd
kaun chahega bhala itna mujhe tere ba'd


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close