bete ko pahle kahte the aankhon ka nur hai lekin ye ab hamari nazar ka qusur hai kuchh dil se ehtiram nahin waldain ka bezar apne din se mazhab se dur hai collage to darkinar jo hain dini madrase aadab-e-maghribi ka yahan bhi zuhur hai kuchh maqsad-e-hayat na khauf-e-khuda use jannat ki aarzu hai na mushtaq-e-hur hai b-a mein padh raha hai ye knowledge ka haal hai naqshe mein lucknow ko kahe kanpur hai bete mein chahe lakh kharabi ho 'mukhtasar' shadi ke waqt bais-e-income zarur hai