kahan se aa gain ranginiyan tamanna mein ki phir khayal ne lale khilae sahra mein teri nigah se meri nazar mein masti hai tere jamal mein maujen hain us ke dariya mein ye ho raha hai guman tere jism-e-khubi par bhatak ke hur chali aai ho na duniya mein nazar se kuchle hue motiyon ki jhalkaren labon pe rang jo milta hai jam-o-mina mein wo muskuraate se aankhon mein be-shumar kanwal wo kasmasati adaen tamam aaza mein napa-tula sa tabassum jachi hui si nazar sani sani si wo palken ghubar-e-surma mein wo narm nima se kundan badan ki rang-tarang bani hui si wo kirnen libas-e-zeba mein jo goshe goshe mein pinhan hai us ke rah-e-gurez khayal gum hua jata hai qadd-e-rana mein qadam qadam pe wahi tamkanat ka ek sawal hai koi dusra hum sa sawad-e-ganga mein bata main tujh se kahun kya ba-juz wo shauq ki baat ki dal rakkha hai jis ko jawaz-e-mani mein jamal-e-yar latif aarzu hai us se latif ye aai hai na wo aaega harf-e-sada mein