aaj le rishta-e-paiman-e-wafa tut gaya tujh se ab tere tasawwur ka khuda ruth gaya ab koi kaga munderi pe nahin bolega koi harkara tera khat bhi nahin laega koi paigham-e-zabani bhi nahin aaega log ab zakhm pe marham bhi na rakhne denge din-ba-din zakhm tere aur bhi gahre honge teri har rah ke har mod pe pahre honge kis ko malum ki kab tere shikasta dil par kaun kah sakta hai kis waqt qayamat aa jae waqt ke hath mein kab sang-e-malamat aa jae