suno madar-e-hind ke nau-nihaalo sadaqat pe gardan kata lene walo utho khwab-e-ghaflat mita lo mita lo kamar-basta ho jao himmat badha lo tumhein gam-e-himmat badhana padega watan ka muqaddar jagana padega taraqqi ka bhaarat ki naghma suna do mohabbat ki ganga dilon mein baha do jo khufta hain muddat se un ko jaga do sadaqat ka didon ki danka baja do karo jald sairab ujde chaman ko lagen chaar chand aaj apne watan ko pade hain kahin din ki jaan ke lale kahin dil hilate hain bekas ke nale hue hain kahin nim-jaan bhole bhaale musibat ke chakkar mein hain hind wale chala hai kisi ke kaleje pe nashtar dhuan aah ka hai kisi ke labon par bharosa zamin ka na charkh-e-kuhan ka tawakkul hai parmatma par watan ka nazara hai gulzar kishwar mein ban ka hua khar har phul apne chaman ka na chhodo magar hausla sher mardo utho beda manjhdar se par kar do shikayat ka karna nahin yaad tum ko nahin aadat-e-shor-o-fariyaad tum ko sitam-gar kare lakh barbaad tum ko kare gardish-e-charkh nashad tum ko zara kan par jun na renge tumhaare chalen gardanon pe jo khanjar do dhaare sada zulm ki aa rahi hai jahan se ki zahir hain be-dad pir-o-jawan se tapakti hain gar hasraten ab yahan se lapakte hain shoale sitam ke wahan se magar tum ho is pe bhi mahw-e-qanaat qanaat nahin ye hai zof-o-kasalat