aamad-e-sal-e-nau aur bad-nasib hindi

aamad hai sal-e-nau ki saman hai bahaar ka
sarsabz gulistan hai dil-e-dagh-dar ka

ishq-e-watan mein aashiq-e-sadiq hai jaan-ba-lab
kya haal puchhte ho gharib-ud-dayar ka

yarab kahenge kis tarah hum bekason ke din
yaad aaya hai qafas mein zamana bahaar ka

yun ashk-e-gham tapakte hain aankhon se qaum ki
mumkin nahin hai tutna ashkon ke tar ka

ek bar qatl-e-am karo tegh-e-zulm se
achchha nahin hai jaur-o-sitam bar bar ka

ai mader-e-watan ke saputo badhe chalo
ye aaj ho raha hai ishaara bahaar ka

qatil ko naz quwwat-e-bazu pe hai agar
mazlum ko bharosa hai parwardigar ka

ai mader-e-watan zara dast-e-dua utha
maqtal mein imtihan hai tere gham-gusar ka

girgit ki tarah rang badalta hai dam-ba-dam
kya e'tibar ghair ke qaul-o-qarar ka

aghyar se karam ki tawaqqo fuzul hai
arsa guzar chuka hai bahut intizar ka

ai 'aftab' dahr ka shikwa hai kyon tujhe
hota nahin hai koi dil-e-be-qarar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close