ek patri par sardi mein apni taqdir ko roe duja zulfon ki chhanw mein sukh ki sej pe soe raj-singhasan par ek baitha aur ek us ka das bhae kabir udas unche unche aiwanon mein murakh hukm chalaen qadam qadam par is nagri mein pandit dhakke khaen dharti par bhagwan bane hain dhan hai jin ke pas bhae kabir udas git likhaen paise na den film nagar ke log un ke ghar baje shahnai lekhak ke ghar sog gaek sur mein kyun kar gae kyun na kate ghas bhae kabir udas kal tak tha jo haal hamara haal wahi hai aaj 'jalib' apne des mein sukh ka kal wahi hai aaj phir bhi mochi-gate pe leader roz karen bakwas bhae kabir udas