ek mazdur ki jis ke badan ne kai dinon ki an-thak riyazat cement ret aur bajri ke bich kati thi ek pyali chae ki talab belche ki mitti ke sath uchhaali thi fikr-e-ayal ko lohe ki redhi pe inton ke sath dhakela tha chand lamhe sustane ki khwahish ko sabr ke hathaude se kut dala tha tab ja kar kahin aakhir kar aaj apni dawat manani thi ghar mein murghi pakani thi magar chamakti kirola ki damakti makhluq ko kya khabar beach sadak mein jis ka shaper phata tha jo la-waris lash ki surat pada tha aaj us ne apni dawat manani thi ghar mein murghi pakani thi