wo muazzin tha zara si der ko aa ya tha apne ghar ye kahne ko ki koi shor ho dastak ho darwaza na khologi dariche band rakkhogi hawaen shahr ki badli hui hain yahi takid kar ke wo wapas ho gaya tha aur apni kothari mein band us ki kanpti biwi kaleje se lagae nanhe bachchon ko kisi sahmi hui chidiya ki surat par samete dam-ba-khud baithi rahi na jaane raat ke kitne pahar bite fajr hone ko aai bashaarat bang ki surat kisi murghe ne di thi subh hone ki magar masjid ke mimbar se bila-nagha buland hoti moazzin ki sada chup thi azan-e-subh ghaeb thi