use jis ne tumhein bula liya hai samundaron ke musafiro use ja ke mera salam kahna musafiro jo safar ki sari saubaton se giran-baha jab tumhaare aur mere safine ka nakhuda do-jahan ke hama-zi-hayat ye din ye raat bhi jis ke gird ruke hue hain jahan zamin pe jhuke hue hain kulah tairte baadalon ke jo nur hai hama-nur hai jahan sar jhuka ke wo jism chalte hain jin ko aag ki hiddaton ne janam diya jinhen dekh sakta nahin koi wo jo bhed hain wahan wo milega tumhein zarur har ek se milta hai dur dur se aate hain dekhne use dekhne wo har ek ko deta hai zindagi wo utar leta hai bojh guzre hue dilon ka wo aane wali ruton ke chehre nikhaar deta hai laut aate hain log jo use dekh kar unhen log aate hain dekhne use ja kar mera salam kahna musafiro tumhein paniyon ki rawaniyon ka sukun mile