ye teri shakl hai ki chand ka raushan chehra ye sitare teri aankhon se damakte kyun hain ye teri shokh adaon si sanakti purwa jo mere sar se dupatte ko gira deti hai khushk baalon ko zara aur uda deti hai ye teri yaad ke jugnu hain ki shabnam qatre jis se be-khwab nigahon ki zamin gili hai koi aahat na hi dastak ki gali suni hai gar mujhe waqt ke tewar ka pata jo hota ghar ki dahliz se bahar nahin jaane deti sare darwazon darichon ko muqaffal rakhti suni aankhon mein chhupa leti main kajal ki tarah apni banhon ke hisaron mein muqayyad rakhti mere bachche jo mujhe kash khabar ye hoti ek do pal mein mera shahr hai jalne wala