har ek sham mujhe yun khayal aata hai ki jaise tat ka maila phata hua parda tumhaare hath ki jumbish se kanp jaega ki jaise tum abhi daftar se laut aaoge mujhe to yaad nahin kuchh tumhaare sar ki qasam magar pados ki ladki bata rahi thi ki main ab apni mang mein afshan nahin sajati hun tawe pe rotiyan akasr jalai hain main ne shakar ke badle namak chae mein milati hun wo kah rahi thi ki nangi kalaiyan meri tamam umr yunhi chudiyon ko tarsengi ghamon ki dhup mein jalte hue is aangan par masarraton ki ghataen kabhi na barsengi wo kah rahi thi ki tum ab kabhi na aaoge gali ke mod pe lekin har ek sham mujhe tumhaare qadmon ki aahat sunai deti hai har ek sham mujhe yun khayal aata hai ki jaise tum abhi daftar se laut aaoge