bhagwan

baitha tha aakash par
tu aankhon se dur

lekin apna man tha teri shardha se bharpur
aankhon mein parkash tha tera

man mein tha tha ye gyan
karam kukarm ko dekhta hai mera bhagwan

to mandir mein aan biraja
pahan ke hire moti

dwar dhanush ki ot mein aa gai teri joti
mahluk das pujari purohit

pandit aur widwan
dene lage ye gyan

un ke charnon ko chhune se milte hain bhagwan
aarti puja

ras lilaen
dewdasiyan gaen

hari hari har hari hari har jai wishnu bhagwan
tu hai nath anath ka aur nirbal ke paran

jai teri bhagwan
rag rang aur bhent bhog ke moh ne tujh ko rijhaya

ras-lila ke pher mein tujh ko le aaya insan
ai mere bhagwan

tu mandir mein baith raha hai pahan ke hire moti
main hairan hun is par tujh ko uljhan kyon nahin hoti

tod phod kar dwar dhanush sab kar de ek saman
man-mandir mein bas na sake to mat kahla bhagwan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close