bhai bhulakkaD

dost hain apne bhai bhulakkad
baaten in ki sari gadbad

rah chalen to rasta bhulen
bas mein jaen to basta bhulen

purab jaen pachchhim pahunchen
manzil par apni kam pahunchen

topi hai to juta ghaeb
juta hai to moza ghaeb

pyali mein hai chamcha ulta
pher rahe hain kangha ulta

kaam hai un ka sara ulta
aur to aur pajama ulta

laut padenge chalte chalte
chaunk uthenge baithe baithe

sauda de kar dam na denge
dam diye to chiz na lenge

koi pukare dam to lao
koi kahe bandal to uthao

tairne jaen ghadi bhul aaen
bagh mein jaen chhadi bhul aaen

wo to ye kahiye ki khuda ne
jod diye hain aaza tan se

bandh rakhe hain sab kal purze
warna har roz aap ye sunte

gir gai meri dahini chhanguli
dhund raha hun bich ki ungli

kya kahiye ausan hain ghaeb
kal se donon kan hain ghaeb

ek to sabun-dan mein paya
ek na jaane kis ne udaya

ran ek lipti shaal se nikli
nak bandhi rumal mein nikli

tum ne to nahin dekhi bhai
khunti par thi khaal hamari

bhule kahin sar aur kahin dhad
hae bichaare bhai bhulakkad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close