dhup nagar ke basi hain hum dhup ki pahre-dari hai dhup-nagar mein dhup ke kheme dhup ki hi gul-kari hai dhup falak par dhup faza mein dhup zamin par raqsan hai dhup hawaon ka pairahan har su dhup par-afshan hai dhup ki shakhen dhup ke patte dhup ki kaliyan dhup ke phul dhup ki ye nagri hai anokhi dhup-zada hain is ke usul dhup suron par nach rahi hai dil mein utarti jati hai bechaini aur betabi ke jalte git sunati hai dhup ne insani zehnon mein angare dahkae hain dhup ne fikr-o-nazar mein jaise shoale se bhadkae hain dhup-nagar mein amn-o-sukun ke badle jang ki baaten hain qatl-o-ghaarat khun aur lashen dhup ki hi saughaten hain kya jaane kab baadal aaen kab chhae sawan ki ghata kab badle ye dhup ka mausam lahrae sawan ki hawa