jang chhidi ho sarhad par ya kahin lagi ho aag pura ho arman kisi ka ya so jaen bhag meri bin juda hai sab se meri juda hai rag meri duniya khel tamasha main hun munna pyara sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara main roun to mujh ko ghar ke sare log manaen main soun to mere sapnon mein pariyan aa jaen main jagun to mujh ko ammi apne gale lagaen main gaun to gae jaise ye aalam hi sara sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara duniya ke sare bachchon ka yaksan hai afsana mere hi jaisa hai sab ki fitrat ka paimana milti-julti si aadat hai rona ho ya gana meri manzil pyar mohabbat mera sapna nyara sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara meri duniya jang nahin hai kaisi hatha-pai ho koi hindu ya muslim sikh ho ya isai meri nazar mein sab yaksan hain sab hain mere bhai mere jaise bachchon ka mazhab hai bhai-chaara sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara