kisi mandir ki ghanti se dara sahma hua bhagwan ek tute hue viran ghar mein ja chhupega aur pujari khun mein dube hue tirshul le kar dewiyon aur dewtaon ko pukarenge saliben bhi sabhi khali milengi har taraf girja-gharon mein kyun ki sab masum-tinat log gali ke mod par suli se latke dua-e-maghfirat mein har ghadi masruf honge qatilon ke waste azanon mein khuda-e-pak ke har zikr ke badle shayad kisi qahhaar ya jabbar ki hamd o sana hogi hum apni aaqibat ki bhik mangenge khuda ke nek bandon se