ajnabi dal na yun mujh par hiqarat ki nazar main teri chahne wali hun zara der thahar shauq-e-nazzara agar hai to har ek rah se guzar aa tujhe apni nigahon se pila dun saghar chand sikkon pe hua karta hai har shab ko nisar mere sine ka gudaz aur jawani ki bahaar jitna napak hai tan utna mera man to nahin kyun thithakta hai jhijakta hai main nagan to nahin mang leti hun zaban se koi rahzan to nahin tere kumbe hi se main hun teri dushman to nahin ye wo dar hai jahan mohtaj-o-ghani aate hain nam kis kis ka main ab lun ki sabhi aate hain wo jawan jin ki ragon mein hai baghawat raqsan jin ke chehron pe hai nakaami-e-ulfat ka dhuan jin ke har lafz mein nashtar hai nigahon mein sinan kar-khanon mein ghute jate hain jin ke arman zindagi-bhar jo mashinon ko lahu dete hain aa ke kuchh der meri bazm mein hans lete hain kitne rishiyon ki kuti mein mere kashane hain kitne durweshon ke lab par mere afsane hain meri har sans ke aaghosh mein but-khane hain shaikh-sahab bhi mere husn ke diwane hain jo meri bazm mein hai wo mera shaidai hai koi hindu hai na muslim hai na isai hai kal aur qaht ki sejon ko sajati nahin main khun mazdur ka galiyon mein bahati nahin main goliyan ahl-e-mohabbat pe chalati nahin main panch-sala koi scheme banati nahin main ahl-e-mahfil ko rulana nahin aata mujh ko tex par tex lagana nahin aata mujh ko main hun ek jhut ka bazar ye mana main ne mere ghamze bhi hain talwar ye mana main ne mere phulon mein hain sau khar ye mana main ne main hun daulat ki talabgar ye mana main ne sab jatan hain ye magar ek dil-e-pur-gham ke liye jama karti nahin daulat ko main atom ke liye mera mansha nahin aqwam-e-zubun ki taskhir mera maqsad nahin pahnaun khirad ko zanjir mera iman nahin ulfat ho rahin-e-tazir mera arman nahin mar jae gharibon ka zamir main ne ghalle ko godamon mein chhupaya hai kabhi main ne dollar ke liye hath badhaya hai kabhi mujh ko sarmae ke shoale ne jala dala hai meri ismat ke charaghon ko bujha dala hai mere sine se sharafat ko mita dala hai mujh ko ek paikar-e-tafrih bana dala hai mujh mein mariyam ka taqaddus tha to sita ka waqar kar diya zar ne mujhe raunaq-e-husn-e-bazar khair tu in meri baaton pe koi dhyan na kar ma-siwa mere kisi ka kabhi arman na kar apna dil aur kisi rah mein qurban na kar aa bhi ja baam pe ab der meri jaan na kar mere sine mein jo shoala hai na so jae kahin ajnabi dar hai mujhe subh na ho jae kahin