ai bhikari tujhe kahe ko yaqin aaega main bhi teri hi tarah waqf-e-gham-e-dauran hun yar tu bhi nigah-e-qahr ka mara hai magar kam se kam tere liye raunaq-e-bazar to hai mere aansu hi to hain mere liye lal-o-gohar tere kashkol mein kuchh sikkon ki jhankar to hai jab bhi dekha mujhe lalchai hui nazron se mahfil-e-dahr mein ji hai ki umand aaya hai mujh ko khush karne ki khatir ye duaen kaisi in duaon ne to kuchh aur bhi tadpaya hai log aakash se aae ki ye gham dur karen baat pahunchi to gulistan se bayabanon tak han magar wo ki jo mahir hain lahu pine mein hath pahuncha hi nahin un ke garebanon tak kahne ko 'hatim'-o-'qarun'-o-'karan' bhi aae apne hisse mein wahi ranj-o-mehan hain ki jo the jurat-e-'isa'-o-'mansur' se bhi kuchh na hua roz-o-shab marhala-e-dar-o-rasan hain ki jo the dar-ba-dar yunhi hum aawara phirenge kab tak kyon na haq chhin len is dahr-e-jafakar se hum