har qadam yaad tujhe meri bahut aaegi tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi tere rukhsar ki rangat tere mathe ki chamak mujh se qaem hai tere hath ke kangan ki khanak teri har sans se wabasta hain sansen meri khwab tere hain sabhi aur hain aankhen meri phir bata kaise juda mujh se tu ho jaegi tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi dil mein raushan hai teri yaad charaghon ki tarah mujh pe tari hai tera pyar ayaghon ki tarah tu hi kah de ki tujhe dil se bhula dun kaise main tere nam ko hathon se mita dun kaise aa bhi ja aur mujhe kitna tu tadpaegi tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi chhod dene ka kiya kaise irada tu ne jis ko chaha tha kabhi jaan se ziyaada tu ne kya huin qasmen teri aur wo wade tere sath chalne ke hamesha ke irade tere mujh ko malum na tha utna badal jaegi tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi apne wade ko wafa kar ke main dikhlaunga main agar mar bhi gaya phir bhi tujhe chahunga tu jahan ke kisi goshe mein rahegi hamdam ho ke bechain sada dunga tujhe main jis dam meri aawaz tere kan se takraegi tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi jab bhi dekha teri surat ko hi dekha main ne sirf aur sirf teri ki hai tamanna main ne main siwa tere kise dekhun nigahen bhar ke jo kabhi dekhun mera rab mujhe andha kar de dekh ab man bhi ja warna tu pachhtaegi tu jahan jaegi hamrah mujhe paegi