bhuk

aankh khul gai meri
ho gaya main phir zinda

pet ke andheron se
zehn ke dhundalkon tak

ek sanp ke jaisa
rengta khayal aaya

aaj tisra din hai…… aaj tisra din hai
ek ajib khamoshi

munjamid hai kamre mein
ek farsh aur ek chhat

aur chaar diwaren
mujh se be-talluq sab

sab mere tamashai
samne ki khidki se

tez dhup ki kirnen
aa rahi hain bistar par

chubh rahi hain chehre mein
is qadar nukili hain

jaise rishte-daron ke
tanz meri ghurbat par

aankh khul gai meri
aaj khokhla hun main

sirf khol baqi hai
aaj mere bistar mein

leta hai mera dhancha
apni murda aankhon se

dekhta hai kamre ko
aaj tisra din hai

aaj tisra din hai
dopahar ki garmi mein

be-irada qadmon se
ek sadak pe chalta hun

tang si sadak par hain
donon samt dokanen

khali khali aankhon se
har dukan ka takhta

sirf dekh sakta hun
ab padha nahin jata

log aate jate hain
pas se guzarte hain

phir bhi kitne dhundle hain
sab hain jaise be-chehra

shor in dukanon ka
rah chalti ek gali

radio ki aawazen
dur ki sadaen hain

aa rahi milon se
jo bhi sun raha hun main

jo bhi dekhta hun main
khwab jaisa lagta hai

hai bhi aur nahin bhi hai
dopahar ki garmi mein

be-irada qadmon se
ek sadak pe chalta hun

samne ke nukkad par
nal dikhai deta hai

sakht kyun hai ye pani
kyun gale mein phansta hai

mere pet mein jaise
ghunsa ek lagta hai

aa raha hai chakkar sa
jism par pasina hai

ab sakat nahin baqi
aaj tisra din hai

aaj tisra din hai
har taraf andhera hai

ghat par akela hun
sidhiyan hain patthar ki

sidhiyon pe leta hun
ab main uth nahin sakta

aasman ko takta hun
aasman ko thaali mein

chand ek roti hai
jhuk rahi hain ab palken

dubta hai ye manzar
hai zamin gardish mein

mere ghar mein chulha tha
roz khana pakta tha

rotiyan sunahri hain
garm garm ye khana

khul nahin rahi aankhen
kya main marne wala hun

man ajib thi meri
roz apne hathon se

mujh ko wo khilati thi
kaun sard hathon se

chhu raha hai chehre ko
ek niwala hathi ka

ek niwala ghode ka
ek niwala bhaalu ka

maut hai ki be-hoshi
jo bhi ghanimat hai

maut hai ki be-hoshi
jo bhi hai ghanimat hai

aaj tisra din tha aaj tisra din tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close