wasl ke lamhon ki ginti karne wale hath hiddat se tahi hain mauj mein aae hue dariya mein kashti kaun dale manjhiyon ke git lahron ki tarah sahil ki bhigi ret par bikhre hue hain ab kisi budhiya ki gathri koi ahl-e-dil utha kar bastiyon ka rukh nahin karta kisi ham-sae se ahwal-e-dil malum karna kar-e-be-ujrat hua hai nafsi nafsi ki hawaen zat ke tarik jangal mein badi aasudgi se chal rahi hain khana-e-dil mein wafaon ke diye aankhon ki surat bujh chuke hain bhid mein rasta nahin milta charaghon ki qataron mein charagh-e-gul nahin milta ki jis par raushni ka gul khila ho wasl ke lamhon mein rang-e-nur bharne wali aankhen apni narmi se tahi hain wasl ke lamhon mein rang-e-ishq bharne wali poren apni garmi se tahi hain