alassabah ki duniya thi mahw-e-khwab abhi chhupa tha hujra-e-mashriq mein aaftab abhi falak pe anjuman-e-shab ka tha asar baqi ghira hua tha sitaron mein mahtab abhi fazaen gum thin dhundalke mein aakhir-e-shab ke uruh-e-subh ke chehre pe thi naqab abhi liya na tha abhi suraj ne bosa-e-ariz salone rang mein nikhra na tha shabab abhi na aai thi abhi surkhi ufuq ke chehre par shafaq ne charkh pe chhidki na thi sharab abhi ghunudgi mein fazaen thin sar jhukae hue main ja raha tha sadak par qadam badhae hue magar tha pesh-e-nazar ek muraqqa-e-adbar dil-e-gharib ki surat udas tha bazar ba-juz sada-e-nafas ke kahin na thi aawaz ba-juz hawa-e-sahar ke koi na tha bedar wo kothiyan wo tarab-khana-ha-e-daulat-o-aish jahan the aakhir-e-shab tak hayat ke aasar wahan bhi maut ke baithe hue the pahre-dar na shama thi na patange na bazm thi na bahaar gadagaron ke kai qafile ba-haal-e-tabah pade hue the sar-e-rah nind mein sarshaar yakayak ek taraf uth gai jo meri nazar ajab tarah ka nazar aaya samne manzar gali ke mod par ek aadmi pareshan-haal ki jis ki sham-e-jawani thi sogwar-e-zawal jhuki jhuki hui nazren rundha rundha hua dil dhansi dhansi hui aankhen sate sate hue gal barahna jism khamida kamar ramida hawas badan nidhaal tabiat nidhaal ruh nidhaal zaban-e-laghzish-e-pa par fasana-e-shab-o-roz sutur-e-chin-e-jabin mein hadis-e-mazi-o-haal samajh gaya main use dekhte hi haal us ka ki us ki shakl ba-yak-waqt thi jawab-o-sawal bisat-e-kak pe baitha hua tha khak-basar padi thi samne kude pe kuchh sadi hui dal sag-e-gursna ki manind chatta tha use bura tha bhuk se kuchh is qadar gharib ka haal main us muhib nazare ki tab la na saka qadam jame ke jame rah gae utha na saka