main to jaise khada hua hun ek manzil par aur lamhe ye waqt ke tukde yun udte hain chaaron taraf ek titli jaise jis ke pankh kabhi to sunahre aur kabhi lagte hain siyah yun hi be-mani be-mauqa nachne lagti hai duniya dil git sunata hai banjar dharti se uble padte hain nur ke chashme aur achanak baadal ki chadar suraj ke munh ko dhak deti hai maddham padne lagta hai sangit ka jadu nur ka dam ghutne lagta hai aur lamhe ye waqt ke tukde yun udte hain chaaron taraf ek titli jaise jis ke pankh kabhi to sunahre aur kabhi lagte hain siyah