ek khaun do khaun ya tin khaun sunne wale shaikh-chilli ki ye baat hansi mein tal gae taham us ne dajla-o-furaat ka pani piya aur abbasiyon ke ugae hue anaj se bani roti khai ek ek luqma halaq se utarte hue dusri roti par jhapta ek khaun do khaun ya tin khaun sari duniya chaukanni thi lekin khamosh chand billiyan ghurrain to un ke samne kuchh tukde dal diye gae amn-e-alam ki baqa ke liye shaikh-chilli ki nazar ab tisri roti par hai us ka anaj kahan se aaya kin dariyaon ne use gundha aanch kis chulhe ki lagti hai tawa kis lohe ka bana hai shaikh-chilli bhuk badhti hi ja rahi hai sunne wale us ki baat ab hansi mein nahin talte balki sahm jate hain aur sochte hain wo chauthi roti kaun si hai jo shaikh-chilli ka luqma banne wali hai