wo tha ek lamha-e-takhliq jis ne aag raushan ki tadapti thi safura dard-e-zeh se aur musa ko sar-e-wadi-e-sina nur ka lapka nazar aaya khuda-e-azz-o-jal se ham-kalami ki saadat ho gai hasil mila ohda payambar ka magar wo kokh mein jis ne mahinon tham kar rakkha mohabbat ka munazzah lamha jis ne ghuncha-e-nauras ko chatkaya sar-e-shakh-e-rifaqat jis ne lori ke bune hain bol wali hai wo nabi hai aur na paighambar