tumhein jab yaad karta hun to ek mitti hui duniya meri aankhon ke aaine mein pahron jhilmilati hai kahin dam ghut raha hai muskuraate surkh phulon ka kahin kaliyon ke sine mein hawa ruk ruk ke aati hai kahin kajla gae hain din ke chamkae hue zarre kahin raaton ki hansti raushni gham mein nahati hai wahi duniya jo kal tak dil ka daman tham leti thi usi duniya ke har zarre mein ab be-iltifati hai tamanna apni nakaami pe kanp uthti hai yun jaise bagule mein koi sukhi si patti thartharaati hai ghane kohre mein jaise dhankte jate hon hare sabze yun hi bite dinon ki shakl dhundli padti jati hai jawani ki andheri raat aadhi bhi nahin guzri mohabbat ke diye ki lau abhi se thartharaati hai