phaili hai fazaon mein khushi meri nazar ki hansti nazar aati hain fazaen mere ghar ki dil-shad mere ahl-o-ayal aaj bahut hain masruf hain wo bhi nahin masruf faqat main rakhi hai saliqe se har ek kaam ki chiz aaj mehman mere ghar mein hain kuchh mere aziz aaj shadi ka makan ghar mera malum na ho kyun majma ho jab itna to bhala dhum na ho kyun bhai bhi hain bahnoi bhi bhawaj bhi bahan bhi baitha hai bhatija bhi bhatije ki dulhan bhi bachchi idhar ek baith ke takti hai dulhan ko kuchh tifl satate hain udhar apni bahan ko bachchon pe jhalak khas hai tanwir-e-sahar ki uth baithe hain sab sunte hi aawaz gajar ki dilkash ye faza subh ki ye nur ka tadka bulbul ki tarah bol raha hai koi ladka be-wajh koi rone pe aamada hua hai hairat se nae gur ko koi dekh raha hai baitha hai ye chup daud raha hai wo khushi se khane ke liye zid koi karta hai abhi se karna hai jo saman-e-ziyafat ko faraham aa aa ke mere kan mein kuchh kahti hain begam hona hai jo khubi se ziyafat ka sar-anjam ladki ke zariye se bhi pahunchati hain paigham aati bhi hain jati bhi hain begam su-e-matbakh mamaon mein be-waqt jahan hoti hai chakh chakh rahat na mile kyun unhen halki tag-o-dau mein sae ki tarah sath hai ladki bhi jilau mein nannhi abhi utthi nahin pahlu se phuphi ke leti hain wo rah rah ke maze us ki hansi ke ladke mere khush ho ke udhar dekh rahe hain ikhlas-o-mohabbat se mukhatib hun jidhar main majma ye azizon ka mohabbat ki ye baaten in pyar ki baaton mein na choten hain na ghaten anwar tabassum ke takallum se hain paida zau subh ki is manzar-e-dil-kash pe hai shaida baaton ka abhi tha tarabi silsila jari nargis ne kaha aa ke hai tayyar nahaari