bhut

tha kuchh roz pahle mera bail khoya
isi fikr mein main na us raat soya

use dhundhne munh andhere main nikla
idhar us ko dhunda udhar us ko dhunda

talash us ko karta hua main chala tha
simat aaya tan mein bas ek zalzala sa

mere samne bhut aaya achanak
bada khaufnak aur bada hi bhayanak

phansi halq mein chikh patthar the panw
chali aa rahi thi wo khunkhar chhanw

gale pad gai thi ajab raat khuni
mujhe rok pai na thi bad-shuguni

mera rasta kat baithi thi billi
phadakti thi do roz se aankh meri

magar main na samjha magar main na jaana
kaha main ne apne ko khabti diwana

tha lohaar ki dhonkni mera sina
hua ja raha tha pasina pasina

nigahon se bijli girane hi ko thi
bas ab wo bala tut jaane hi ko thi

kai lamhe is taur se main ne dekha
khula raaz jab ghaur se main ne dekha

nigahen andhere mein chamka raha tha
mera bail mere qarib aa raha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close