baadal utha aur chha gaya sawan ka meinh barsa gaya jangal mein jal-thal ho gaya nahron mein pani aa gaya aur aa gain bi meindki bachchon ne jab dekha unhen sabze pe lapke gher kar bi meindki ne jis ghadi dekha unhen munh pher kar ghabra gain bi meindki bhagin kabhi uchhlin kabhi daudin kabhi uchkin kabhi lapkin kabhi kudin kabhi phandin kabhi phudkin kabhi tang aa gain bi meindki sabze ke andar chhup rahin jab thak gain ukta gain bachchon ke hathon se magar jatin kahan hath aa gain hath aa gain bi meindki murda bani thin makr se bachche ye samjhe mar gain tang aa ke un ke zulm se duniya se rehlat kar gain kaam aa gain bi meindki phenka pakad kar ek ne bi meindki ko nahr mein bi meindki ne aap ko bahta jo paya lahar mein lahra gain bi meindki pyasi jo thin kuchh der se seron hi pani pi gain phir lapkin khushki ki taraf bachchon ne dekha ji gain aur aa gain bi meindki chupke se ek ladka badha aur hath mara zor se bi meindki ka sar laga patthar ki chubhti kor se murjha gain bi meindki bi meindki mein dam na tha dekha jo mutthi khol kar bachchon ne chilla kar kaha lo ab ke to sach-much safar farma gain bi meindki