sayyad se aaj hazrat-e-waiz ne ye kaha charcha hai ja-ba-ja tere haal-e-tabah ka samjha hai tu ne nature o tadbir ko khuda dil mein zara asar na raha la-ilah ka ho tujh se tark-e-saum-o-salat-o-zakat-o-haj kuchh dar nahin janab-e-risalat-panah ka shaitan ne dikha ke jamal-e-urus-e-dahr banda bana diya hai tujhe hubb-e-jah ka us ne diya jawab ki mazhab ho ya riwaj rahat mein jo mukhil ho wo kanta hai rah ka afsos hai ki aap hain duniya se be-khabar kya jaaniye jo rang hai sham-o-pagah ka europe ka pesh aae agar aap ko safar guzre nazar se haal reaya-o-shah ka wo aab-o-tab-o-shaukat-e-aiwan-e-khusrawi wo mahakmon ki shan wo jalwa sipah ka aae nazar ulum-e-jadidah ki raushni jis se khajil ho nur rukh-e-mehr-o-mah ka dawat kisi amir ke ghar mein ho aap ki kam-sin mison se zikr ho ulfat ka chah ka nau-khez dil-fareb gul-andam naznin aariz pe jin ke bar ho daman nigah ka rukiye agar to hans ke kahe ek but-e-hasin sun maulwi ye baat nahin hai gunah ka us waqt qibla jhuk ke karun aap ko salam phir nam bhi huzur jo len khanqah ka patlun-o-kot-o-bangla-o-biscuit ki dhun bandhe sauda janab ko bhi ho turki kulah ka mimbar pe yun to baith ke goshe mein ai janab sab jaante hain waz sawab-o-gunah ka