pagal samjha hai kya mujh ko dub marun main aur sab is manzar se apna dil bahlaen bachchon ko kandhon par le kar uchak uchak kar mujh ko dekhen hansi udaen lakh meri apni wajhen hon jaan dene ki lekin phir bhi dil mein mere bhi hai wo be-mani khwahish jate jate sab ki aankhen nam karne ki meri samajh se itna haq to hai jaan dene wale ka duniya walon par shirkat kar len wo is pal mein thoda sa sanjida ho kar jaan dene aaya hun lekin ye batla dun jaan lada dunga main jaan bachane mein gar ek tamasha dekhne wale ko bhi hansta dekha khud par laut aaunga keh deta hun aisa kuchh bhi agar hua to bich bhanwar se laut aaunga