main shab ki tera fazaon mein rida ghulami ki odh kar yun pada hua tha ki jaise koi zaif insan shabab ki raunaqon ko kho kar hayat ke din guzarta ho to yun hua god mein sahar ki kiran masarrat ki jagmagai ufuq se uttha sahar ka suraj nai ada se nirale dhab se the us ke rukh par wafa ke tewar shab-e-ghulami ke zinda-daron ke aahani azm ki lakiren lahu ki surkhi wo ghaaliban tis sal pahle ki ek dilkash hasin sahar thi ki dhundle dhundle se aks ab tak mere khayalon mein mushtail hain wo din the meri tufuliyat ke hazaron lamhe bikhar bikhar kar simat gae the bahaar ke din palat gae the to waqt bita aur aaj hun main watan ka apne jawan shahri wahi zamin hai wahi falak hai wahi faza hai magar na jaane chubhan si kyon dil mein ho rahi hai nizam-e-nau bhi na ras aaya watan ko shayad jahan bhi dekho utha hai nafrat ka ek tufan dhuan dhuan hai har ek manzar zamin se ta-asman abhi tak hazaron shoale bhadak rahe hain jhulas raha hai ab in mein insaniyat ka daman kahin bhi kunj-e-aman nahin hai ujad rahi hain hazaron mangen lahu ke chashme ubal rahe hain jawan bahnen zaif maen ab apni izzat ko ro rahi hain kahin pe bachche bilak rahe hain ki jaise lamhe bikhar rahe hain ki jaise lamhe bikhar gae hon