bar-e-hasti se pareshan nazar aata hai rang-e-duniya pe wo hairan nazar aata hai bazm-e-danish mein pasheman nazar aata hai yurish-e-gham se wo halkan nazar aata hai shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai paikar-e-dard wo insan nazar aata hai subh-dam khet mein khaliyan mein kohsaron mein sham tak ret ke uthte hue tufanon mein shah-rahon mein kabhi shahr ke aiwanon mein tang galiyon mein kabhi ganw ke maidanon mein shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai paikar-e-dard wo insan nazar aata hai pa-ba-zanjir wo jakda hua khar-karon mein koh-o-sahra mein kabhi dasht mein viranon mein mele thele mein kabhi aam guzargahon mein sabza-zaron mein kabhi ujde gulistanon mein shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai paikar-e-dard wo insan nazar aata hai reg-zaron mein surangon mein nihan-khanon mein kisht-e-viran mein kabhi ganw ke khaliyanon mein rizq ki khoj mein jangal mein bayabanon mein subh ta-sham magan nit-nae armanon mein shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai paikar-e-dard wo insan nazar aata hai shorish-e-dard se din-raat sisakta mazdur justuju-e-rah-e-manzil mein bhatakta mazdur zeb-o-zinat ki mahafil se jhijhakta mazdur apni mehnat ke pasine mein mahakta mazdur shiddat-e-karb se be-jaan nazar aata hai paikar-e-dard wo insan nazar aata hai