billi aai

billi aai billi aai
iran se sidhe dilli aai

nam tha us ka mah-bano
bachche kahte us ko mano

dikhti thi wo sher ki khala
hath se chhuo to rui ka gala

aankhen nili baal sunahre
mano ke the chhakke panje

chikan kaleji mutton qima
us se pahle dudh bhi pina

lad mein wo to khub hi bigdi
baithe baithe shararat sujhi

sab bachchon ki pyari mano
darakht pe chadh ke baithi mano

niche dekha chakkar aaya
myaun myaun shor machaya

aasif daude wasif daude
nilo daudi sabir daude

ammi daudin papa daude
pichhe se mali kaka daude

jitne munh utni baaten
mano ko ab kaise utaren

mano ko ab kaise utaren
mali kaka laghghi lae

aasif wasif kursi lae
mano sahiba niche aain

khar khar ki zara na pachhtain
ye billi hai ki shaitan ki khala

kyun kahte hain sher ki khala
phir bhi lagti pyari mano

sab bachchon ki dulari mano


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close