dabe panw chalti chali aaegi kisi garm kone mein chupke se baithegi bilauri aankhen ghumati rahegi kabhi ek halki jamahi bhi legi dekhte dekhte jism se uthne wali mahak sare kamre mein bhar jaegi dayar-e-ghariban se aaya hua ek udhed umr chuha jo bas rizq ki bu ko pahchanta hai jo har waqt bimar har waqt bezar chuhiya se tang aa chuka hai use dekh lega to ji jaega shauq-e-waraftagi tarz-e-amadgi us ko billi ke nazdik le jaega lamha-e-qurb mein saat-e-wasl mein us hasina ke nakhun nikal aaenge us udhed umr chuhe se shokhi karenge use hanpta-kanpta adh-mua chhod kar phir se malbus-e-makhmal mein chhup jaenge