are hero! adakari na kar chal uth ki lakhon dil teri aankhon se dhadkan lene aae hain chalo mana teri aankhen kuchh aisi thin ki is be-kar sayyare pe un ka der tak rahna na banta tha magar pyare! tripan sal to kuchh bhi nahin hote to kyon khamosh hai kuchh kah ki teri be-karan aawaz mein to lakhon sadiyon ki sadaen thin tere chehre ka har gahra tassur aisa charkha tha ki jis par apne jazbe kadhte the hum so is charkhe ki kuk ab kis liye chup hai kahani ka hidayat-kar bhi shayad teri aankhon ki gahrai se khaif tha wo mil jae to puchhenge ki is kirdar ka anjam kyon itna achanak hai chal aankhen khol tujh se milne jhonpad-patti wale bachche aae hain kisi ko bhi yaqin aata nahin hai tere jaane ka so uth kar baith billu-barbar aur dekh tera dost sahir khan aaya hai use lagta hai us ke rote rote tu uthega aur kahega yar gham mat kar gulon ki zindagani maut se kab khatm hoti hai mohabbat ki kahani maut se kab khatm hoti hai