muddaton baad mila nama-e-jaanan lekin na koi dil ki hikayat na koi pyar ki baat na kisi harf mein mahrumi-e-jaan ka qissa na kisi lafz mein bhule hue iqrar ki baat na kisi satr pe bhige hue kajal ki lakir na kahin zikr judai ka na didar ki baat bas wahi ek hi mazmun ki mere shahr ke log kaise sahme hue rahte hain gharon mein apne itni be-nam khamoshi hai ki diwane bhi koi sauda nahin rakhte hain saron mein apne ab qafas hi ko nasheman ka badal jaan liya ab kahan taqat-e-parwaz paron mein apne wo jo do chaar subu-kash the ki jin ke dam se gardish-e-jam bhi thi raunaq-e-mai-khana bhi thi wo jo do chaar nawa-gar the ki jin ke hote hurmat-e-naghma bhi thi jurat-e-rindana bhi thi koi maqtal koi zindan koi pardes gaya chand hi the ki rawish jin ki judagana bhi thi ab to bas burda-farosh hai jidhar bhi jao ab to har kucha-o-ku misr ka bazar lage sar-e-darbar sitada hain bayazen le kar wo jo kuchh dost kabhi sahab-e-kirdar lage ghairat-e-ishq ki kal mal-e-tijarat mein na thi aaj dekho ki hain ambar ke ambar lage aisa aaseb-zada shahr ki dekha na suna aisi dahshat hai ki patthar hue sab ke bazu dar-o-diwar-e-kharabaat wahi hain lekin na kahin qulqul-e-mina hai na gul-bang-e-subu be-dili shewa-e-arbab-e-mohabbat thahra ab koi aae ki jae tananahu-yahu